Sunday, February 22, 2009


chandni raat main humne chand jo dekha
to hume bhi humara chand yaad aaya

chand ko dekho to haya se jhuk jao.n
jab se apka noor meri ankhon main samaya

maine dekha nahin chand ke agge kuch bhi
chupke chupke wo dil ko mere chura gaya

deewana ho k mera kahe saf ye chand mujko
ker gaya payar se wo mujko husseen ishara

chahra dekhe hain yu chand hasrat se ANA ka
ehsas mohbbat ka aaj humko payar se kerwaya

Tuesday, September 23, 2008

chand madham aur assma.n chup hai
neend ki goud main ye jaha.n chup hai


wo kesu jo raato.n main bikhre bikhre
wahi ankhen meri janib nigra.n chup hai


besudh khalish mere seene main hunooz
bekrar ki tamanayen bhi yaha.n chup hai


meri deewangi jane se kabhi nai jaye hai
ashq or husi humare dermiya.n chup hai


khushi na gum ki,na gum khushi ka hume
ajeeb sa alam main jassi kaha.n chup hai

Monday, September 22, 2008

apse hui woh pahli mulakat yaad aati hai
payar main doobi hui husseen raat yaad aati hai


ankhne kya mili thi hum to deewane ho gaye the
dil ko dadakane wali mohbbat yaad aati hai


hum bhi khuda ke paas apke khat dikhayenge
jisme likhi hui apke derd ki soagat yaad aati hai


raat ke sannate main jagate rehe hain hum akele
chandni raato.n main milne ki adat yaad aati hai


mohbbat jaisi cheej milti hai muqder se sun jassi
apse juda hona ki woh qayamat yaad aati hai
Uff na kernge lub see lenge,ansoo pee lenge
Isi ko hi jeena kehte hain to yu hi jee lenge

Mujse khafa bhi hai,gum e bereham bhi
Zindgi ke sath sath dawat e mout bhi lenge

Main to khudari ki qayal hoon magar
Kaya karo.ngi jab fir yaad onki hi lenge

Khatir se ya lihaz se main maan to gai
Kassam se kya ab mera iman bhi lenge

Hoon jekhud rafta e beda e kahyal jassi
Apko bhool jane ki aisi koi kahani lenge
Ishq main dil ka tamasha dekha nahin jata
Humse toota hua chahra dekha nahin jata

Apne hisse ki khushiya.n loota du tum per
Humse tera utra hua chahra dekha nahin jata

Sache ishq main dokha hi mila hai yaha.n
Per taqdeer ke agge bhi jhuka nahin jata

Hume to bhut kuch kehna tha apse lakin
Paas hoker bhi tumare kuch kaha nahin jata

Mat chhipao naqabo.n main apna charhra yu
Ke derd ko dil main aur badhaya nahin jata

Kareeb aao mere humsafar mere hum raaz
Ke jassi se ab tanha safar sambhala nahin jata
guma.n to ek dokha hai,guma.n ka sath kya dena
jo pather raste main aye thoker se hata dena


lakh perdo.n main tume duniya.n chhipaye
chand pardo.n main tum khud ko chhipa dena


kise furset ha jo mere jakahm gine,bat sune
meri nadaniyo.n ko hawa main uda dena


lamha lamha ghar ujada mushkil se ehsas hua
pather aye isse pahle sheeshe ko huta dena

derti hai ANA kahin derd ke ansso beh na ajye
ankh se ansso na aye yahi soch muskura dena


@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@NAMIKA
JJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJJASS
derd seene main uter jane do
jakhamo.n ko aur bhi uber jane do


mere toote hue is dil per dosto
jo bhi gujerti hai gujer jane do


juda hona tha hume ho gaye
ab tanhaiyon main sawar jane do



kise sunaye.n payar ki dastan
ise shayeri main bikher jane do



ek mahak jo mere pas se gujeri
jehan k khayal main basar jane do


veerane mian koye hue bag n khile
aaj phoolo.n pe ashq bifer jane do


jeete jee mar gaye teri berukhi se
dil ki gawahi dene k liye uper jane do


shab bher roye jassi teri yaad main
pas aao OR ashqo.n ko thaher jane do