Tuesday, May 13, 2008

HUME AKELA NAHIN CHHODTE

1tod dete ahin zamane wale onka dil akser ,mager wo bhoole se bhi kisi ka dil nai todte
deewano ki kismat main jabke dokha hi likha hota hai,fir bhi wo nasamjh raah e wafa nahin chhodte


2 e duniaya.n walo dil todne se pahle itna to ehsan ker diya hote ke mere dil se onki yaado.n nika diya hota
toota hua dil dekh ker tadhpate na hum rehe din raat ,isliye wo humse roother ker bhi apne waddo.n se muh nahin modte



3 gum itne mere kareeb kareeb aate rehe ke na chate hue bhi onki yaad amin meri zindgi dukho.n se bher gai
duniya.n ne koi kasar na chhodi ,hume gum e judai ki zindgi dene main, fir bhi wo mere gumo.n ko apne sath rehe jodte


4 chahe soo soo bar humare dil per jafa ki chhuriya chalo duniya.n walo,lakin mohbbat bhi rehegi onse hi
toote he dil ka tofa de rehi haiduniya.n humko,fir bhi wo aise tofo.n ko kabool kiye hue ANAMICA koapni yaado.n se akela nai chhodte



Monday, May 12, 2008

her mod per ak naya imtihaan hai zindgi

her mod per ak naya imtihaan hai zindgi
sukh dukh iske tej teer kaman hai zindgi

wo jo jinke saye main zindgi gujer rehi thi
dhadkta hai dil ,lakin awaj kaha.n hai zndgi


apki tarha nahin samjti dil ko sheeha kabhi
kyunki duniya.n main pathro ki dastan hai zindgi


ak modh pe ake hum juda ho gaye hain kyu
mohbbat ko milwane main nakam hai zindgi


gum e judai bhi kaisa hadsa hai zindgi main
kyu iase hadso.n per hui qurban hai zindgi


apki yaad main her lamha gujerta hai tanha
tanha tanha dekhte rehna iska kam hai zindgi


apko kya milega iase ANAMICA satane mai.n
dil ka derd onko samjne main bejaan hai zind

Humari to kishti waha doobi jaha kinra na tha

E mere dost kya haal bataye dil ke tootne ka
Humari to kishti waha doobi jaha kinra na tha
Mera dil bhi doob gaya beech samander main
Gum e samander se nikalne wala bhi sahara na tha


Humko ruswa kiya umer bher ke liye e dost
Zindgi huste hue beet jati,ye bhi gawara na tha
Gum e shamma jalate hain mahfil main
Ker sake door gumon ko roshni,aisa ujara na tha


Nakam e mohbbat hui meri,koi nai bat nahin
Dil ke tootne ka bhi duniyan main koi nazara na tha
Kash ban jaye mere dil ke toote tukdo se taj mahalANAMICA
Dil ke tukdo se taj mahal ho,shahjahan ka bhi ishara na tha

Is paar bhi tanhai to os paar bhi tanhaiyan hain

Mere humsafar ki kitni husseen ruswaiyan hain
Din hue onke bager beren or labi tanhaiyan hain

Apki berukhi pe fida hua ja reha hai mera dil
Apki aisi adayen hi meri tamashaiyan hain

Duniyan samj rehi hai hum khoye hain kahin
Ye to meri gum e mahfil ki perchhaiyan hain

Wada to kiya tha onhone umer bher nibhane ka
Nahin ilam wada na nibhane ki kya majboriyan hain

Hum log samnder ke bichhade sahil hain ANAMICA
Is paar bhi tanhai to os paar bhi tanhaiyan hain

********************************************ANAMICA

apke bad meri zindgi ne tanhai hi tanhai pai hai

subhah ki pahli kiran koi paigam lai hai
dekh hua hai swera,hussen sapno ka ferman lai hai


kitni ratte.n gujar di maine onki judai maine e dil
berso.n bad onse milne ki meri sham aai hai

karni hain onse batte.n kai,kaisi gujari ratte, kai
apse bat kerne ki maine aaj nai jannat pai hai

apse milne ko tars gai thi ye ankhiyan intzar main
apse milker ab ja ke meri jan main jan aai hai

kyu chale gaye the aap komal[ANA]se rooth ker
apke bad meri zindgi ne tanhai hi tanhai pai hai

Dosro ka daman khushiyon se bherne wala derd mere kareeb tha

Dosro ka daman khushiyon se bherne wala derd mere kareeb tha
Chaha tha bhut tume,magar bichhadna humara naseeb tha

Jab jab kiya bayan apna derd dosto.n ne is mahfil main aker
Mujko bhi yaad ane laga derd apna, jo bhut hi badnaseeb tha

Chaha tha oska payar,magar wafa kerne se bhi na mil saka
Wafaye.n bha na saki,dekho payar mera kitna khushnaseeb tha

Mat pouchhiye kaise humne siye jakham e jigger mohbbat main
Zahar e judai ka gum chhupa ke jiye,kyunki tu muje azij tha

Milti nahin kisi ko sachi mohbbat is bederd duniayn main ANAMICA
Jise chaha paya bhi osi ko kyunki tu badha khushnaseeb tha

**************************************************ANAMICA

suna hai

Mahfil main chirag banke jalte rehe,suna hai onke ghar main roshni nahin hoti
Mijaj e gum pahchan hai humari,suna hai onko khushi se bhi khushi nahin hoti

Ye dil sahara andhiyo.n ka liye hue, kho gaya hai onki yaado.n main is qder
Dil ko gum e dayat gawara hai,suna hai onke dil mai.n koi mahkashi nahin hoti

Zindgi ko mout keh dena koi mushkil nahin,gour se dekhe.n to zindgi apni hai
Ehle dil ko zindgi payari hai,suna hai onki apni zindgi bhi zindgi nahin hoti

Koi pila reha hai to wo piye ja rehe hain ,mahfil e sharab e zindgi ko is qader
Hum bhi pila de mohbbat e sharab,suna hai onko peene se koi khushi nahin hoti

Wo is dour main sehme.n hue kehte hain thoude si tabbasum ki zaroorat hai
E dil tabbasum bhi la denge hum,suna hai onke phoolo se khushbui nahin hoti

Hal e dil kisse kehte apna der b der,ghar ki char deewari amin rone ke siwa
Aansso shab bher barsat kerte rehe,suna hai onki ankhon main nami nahin hoti

Mere shereon main sada tumari hi hai,ye padhne wala mahsoos kere ya na kere
Onko yaad kiye shere likhti hai ANAMICA ,suna hai onko shayeri ki kami nahin hoti

*******************************************************************ANAMICA

kaha jao.n main

kaha jao.n main tumari yaado.n ko laker
kaha jao.n main tumare waddo.n ko laker


tu bewafa hai,dil heran ho reha hai
kaha jao.n main tumari wafao.n ko laker


kante bhi tumne diye khushbahar jeewan main
kaha jao.n main tumare in phoolo.n ko laker

kyu na ki tumne mere sache payar ki qader
kaha jao.n main tumare in jakhmo.n ko laker

jinki her ada pe sajde kiye the her samye
kaha jao.m main tumari adao.n ko laker

kasoor tumara nai,kasoor to mere dil ka tha
kaha jao.n main tumari ayasho.n ko laker

mohbbat main sajaya tha ka hussen khwab
kaha jao.n main tumare in naqabo.n ko laker

maine tumko kaya samjha or tum kya nikle
kaha jao.n main tumare irado.n ko laker

is dil main basaya tha sirf tumara hi payar
kaha jao.n main tumare in jajbatto.n ko laker

tumne to dutkar diya hai payar mera
kaha jao.n main tumare ehsaso.n ko laker

kyu tumne apna nam bewafa likha diya
kaha jao.n main tumari in kitabo.n ko alker

daman apka khushiyao.n se berha tha humne
kaha jao.n main tumare gumo.n ko laker

dosti ka rishta bhi ab tod do mere sanam
kaha jao.n main tumare in rishto ko laker

haqikat ANAMICA k samne hai ke tu bewafa hai
kaha jao.n main tumari haqikato.n ko laker

*********************************ANAMICA