Tuesday, September 9, 2008

Tu na de saath ke chalna hume bhi aata hai
Waqif-e shola hain, jalna humei.n bhi aata hai

Tune chhoda tha hamen raah mein chalte chalte
Dekh le sahra mein dhalna hume.n bhi aata hai

Ho gaye berso.n in ankhon ki chubhan jati nahin
Ashk baarish mein badalna hume.n bhi aata hai

Zakhm kha kha ke bhi mahfooz hai hasti meri
Ishq mein gir ke sanbhalna hame.n bhi aata hai

Nahin hai paas wo, par mera hausla dekho
Kisi ke khwaab mein dhalna hame.n bhi aata hai

Jala jala ke jigar surkhuroo hue hain ab
Sholon mein rang badalna hame.n bhi aata hai

Mere kalaam Ana shokh nahin hain to kya
Ghazal mein dard ugalna hame.n bhi aata hai
shabad badal jate hain payaam badal jate hain
yu to mahfilo.n main aksar jaam badal jate hain



deewano ne wafay.en bhi ki zamane se chhup ker
magar jhuth k naqab mai chahre aam badal jate ahin



koi sunta nahin yaha.n dastan en deewano ki
shayeri main likhe onke nam badal jate hain



mohbbat to khuda ki paak ibbadat rehi hai dosto
illtaja kya kere dil lagane k anjam badal jate ahin



sukh aur chain hi manga rehti duniya.n khuda se
badale main perwano.n ke inam badal jate hain



dil ke chahne per hi hoti hai barbadi ANAMIKA ki
onki dekhne wali nigah k ferman badal jate hain
tere ane se tanhaiyan rulati kyu hai
khushiyan daman chudhati kyu hai

main bhagti rehti hoon andhere main
roshni mujse door bhag jati kyu hai

furset nahin milti hume likhne se
sham e mahfil pas aker darati kyu hai

ak ansso bhi na ankhon se chalka
ab jeewan ansso bahati kyu hai

jalo ki buri aah hoti hai payare
ghaw pe marham lagati kyu hai

main khaq k dhue.n ki lakeer hoon
taqdeer ab aag se gabrati kyu hai

ilahi mohbbat e safar teh kerte kerte
manzil musafer k sath dagmgati kyu hai

sittam e kamyabi mubrakbad dete ho
ye onki badgumai ya feryadi kyu hai

khawab e adam se choke the tere waste
ratto.n ko jag kar hume satati kyu hai

derd bher gaya hai ab is dil maiin
jaam e ishq e jahar roj roj pilati kyu hai

adhi raat tak bhi onke paigam nai ate
shab bher jag k intzar kerwati kyu hai

main udas hoon onki ruswaiyon pe
aisi berukhi pe mohbbat aati kyu hai

gumnam andhero.n main kho gai zindgi
chirago.n ki roshni qayamat dhati kyu hai

ho gaya hai kya dil ke aine ko bhi aaj
dekhu apna aks to sharam aati kyu hai

nasha to aker chala gaya apni may se
nashe e mohbbat lene ko bhatkati kyu hai

rang mohbbat ka hai ya tanhai ki bebasi
tanhaiya.n pe mohbbat ikarati kyu hai

e mere kahwabo ki tabir meri jan e ghazal
raat ki tanhaiya.n ana ko tadhpati kyu hai


Hame sikha na mohbbat hum ashaq purane hain

Aaj ham aapki nazero.n main kyoon begane hain



Kisse meri barabdi ke rulane lagte hain

Aap har baat main lagte mujhe begane hain



Lo kya hua jo barbad ho gaya alam mohbbat ka

Mujse pahle bhi lute yaa.n bahot deewane hain



Janoon mohbbat ka ruswaaii de gaya mujhko

Jidher nigaah udher mere hi afsane hain


Khalish zaroo, magar phir bhi pyaar hai tumse

Berukhi ishq mohabbat ki hi maikhane hain



Zindgi main mohbbat mout ka safar lagta hai

Hame.n judai ke gum ab nahin chupane hain



Mat poochhiye kaise siye humne soz e jigger

Apki yaad mein likhne lage traane hain


Mat poochhiye kaise siye humne soz e jigger

Apki yaad mein likhne lage traane hain



Hoke barbaad bhi hasti meri dekho dosto

Ana ko aaj hi duniyaa.n sahi pahchane hain


ak anjani si tees
ne janam le liya
jo muje ander hi ander
khaye ja rehi hai
sabke samen keh du
ya chup rehu haye
muje tadhpaye
ja rehi hai
meri khush rehne ki
koshishe. bekrar
hoti gai har bar
dosto se chhupke se
husti rehi kaise
per ander ki tees
din raat sataye
ja rehi hai
shayd main apni tees
ko likh ker bhi na
bayan ker pao
janti hoon padhne se
derd hoga sabko
main dukh nai
de sakti kisi ko
per tees ko kaise
kaise ker bayan
jaan meri gabraye
ja rehi hai
mere hath kampane
lag jate hain
tees ko likhte hue
yaha bhi tees muje
ankhen dikhaye
ja rehi hai
jaise muje keh rehi ho
dekhti hoon tu kaise
muje sabke samne
lati hai likh ker'
najne kyu tees
muje pal pal
derpok banaye
rehi hai
kaise kahu kase kahu?
aaj ki duniyan main
koi kisi ka apna nai
sab begane hain
main samjh leti hoon
sabko apna yaha
akin duniyan muje
bewkoof banaye
ja rehi hai
jab se sach ka
rasta chuna hai
tab se ak se bad ak
dil pe chot lagti rehi
per himnt nai haari
sachai se maine
per kya kero
ye iase jahaer hai
ye na ander rakha jaye
na hi ugla hi jaye
tees meri bebasi
shermaye ja rehi hai
dosto muje is tees
se najat dilao
koi to rast dikhao
yakeen hai muje
koi to samjhega
yahi soch ker
ana apna derd
yaha likhaye
ja rehi hai

Sunday, September 7, 2008

mat poochho meri barbadi ka gunehgar kon hai
dushamn kon hai zamane main or yaar kon hai

apne matlab ke liye dosro ko bachaye hain sab
matlabi hain log yaha kisi ka maddadgar kon hai

bewafa hi nazer aa ajte hain her ek chahre
husseen chahre pe naqab liye dokhebaz kon hai

ANA ye nai kehti ke payar nibhana mushkil hai
paayr nibha to le magar yaha wafadar kon hai
mohbbat ho ajye kisi se to shermana nai chahiye
lakin duniyan ko deedar e ishq karana nai chahiye

log to hath rakh ker dil dadhkane.n dekh lete ahin
logo ko dil apana cheer ker dikhana nai chahiye

jiya nai jata kabhi bhi tanahi bheri raat.n main
tanahiyo.n ko bhi chand se milana nai chahiye

bookh payas nai rehti jab jab onse milte hain
janoon e mohbbat ser pe chadana nai chahiye

jo dil main hai nam onka wo juban pe nai layenge
lakin badnami ka dar ko majboori banana nai chahiye

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@NAMIKA