Monday, September 15, 2008

husti hui ankhon ko rula reha hai koi
daag daman ke chuupa reha hai koi


dosto ko ja sath ho to manzilen asan ho
akele hi dushmani ka wish pila reha hai koi


main tume bhool ke bhi kabhi yaad na kero
bewafai ki baaten yaad dila reha hai koi

nazer mila an sake humse wo to kya gum hai
apne dil ki bat door se samjha reha hai koi

main bhatakti fir rehi hoon der b der aise
jaise derd e tanahaiyon ka kafila reha hai koi

kiske daman main nai hoti mayusiyan yaha
mere hi dil pe kyu derd e pahra reha hai koi

jo aah hai seene main,woh seene ke liye hai
aaj ka har lamha jeena bula reha hai koi

log padh lete hain chahre se kahani dil ki
aise alam main raaz dil k chhupa reha hai koi

dil tootne per bhi abhi kuch rishte baki hain
prem payar ka nata mujse chhuda reha hai koi

sham bhi jaise kisi purane sog main doob gai
pal pal gujre waqt ka dour dikha reha hai koi


sach ki raah pe chalte hue kisi ne gira diya
khaber hai barbadi ki khai bana reha ahi koi

os muqder ke sanwerne ki dua kya mange ana
jo tere chachm e karam se toba reha hai koi

Saturday, September 13, 2008

main zinda hoon ye mushhar kijiye
mere qatilo.n ko na khaber kijiye


deewane hain tere kehe saf aina
zaneejeo.n-toko.n -halka-e joher kijiye


dil toda hai mera,na kahyal aya ose
dil ahi khuda ka,yu na iska hasher kijiye


dekhiye dag jigger per ho humare kitne
roj naya gul khilane jaisa na asar kijiye


shab ko jagate rehte hain ye hum saye ko
bakaht-khawabida ko na kisi ki nazer kijiye


ashq hum bhi pi gaye or chah ker bhi jabat
perab na humari surkhi -e-khoon-e-jiggar kijiye


humne kehker apna hal e dil ,diya sabko rula
ana ki nadaniyon ko dil main na basar kijiye

Thursday, September 11, 2008

main to ak mahaman hoon
tum dil mai na basana
aaj ak haqeekat hoon mai
muje kabhi gale na lagana


bhale hi tum na aye jaker dobara
itnzar ne kiya mujko bhi deewana
pagalpan ne ki haden paar
mumkin nai sabko ye samjhana

e duniyan walo main ajeenb hoon
meri bato pe na kabhi jana
maine jo bhi ab tak kiya
oska jimedar hume hi thehrana

e mere humsafar mere humraj
toot gaya hai her ek paimana
anamika se her koi rutha hai
meri halat ne kiya humse BEGANA
Gero.n pe inayat hoti hai
Kehe.n to shiakyat hoti hai

Muzrim hain teri nazron main
Arzu jiski qayamat hoti hai

Chhoota hath se payala jam ka
Peene se kahrab halat hoti hai

Phoolon ke chaman bhi kya kere
Jab kanton ki boshar hoti hai

Wo aye bhi to neend nai aai yu hi
Jane se meri uljhi hui raat hoti hai

Rona hai to jee bher ke ro le aaj
Ansso.n se hi to ab barsat hoti hai

Poochhne nai aynege hal bebasi ka
Jaan le lete hain jab mulakat hoti hai

Tu chahe thukra de chahe apna le
Apnane se hi likhne ki shurwat hoti hai
Ek raat ko maine apna tuje banaya tha
Dekha tha maine sapna gale tuje lagaya tha

Tab waq tham gaya tha,wahi ruk gait hi rate.n
Jab khawab main mai kerti thi mithi baate.n
Tabse hi maien tujko apne jigger main samaya tha

Bethi thi tu hi tabse mere dil ke ashiyane
Khushboo tumhari lati badhi jhoom k hawayen
Mere dil ne ashqi ki tune hi ghar basaya tha

Todho nahin tammana meri arzu na modho
Jo khawab main lagai wo preet ab na todho
Ankho.n se maine deriya,teri yaad amin bahaya tha

Ek raat ko maine apna tuje banaya tha
Dekha tha maine sapna gale tuje lagaya tha...........ANAMIKA
Badhe khushnaseeb hum,hume badha garoor raha tha
Woh ak nashe ka dour tha,jhutha saroor raha tha

Meri tamashaiyon ka charcha sare jahan main faila
Bheed hui qayamat ki aur mout se door raha tha

Nahin reha phoolo.n ka chaman bhi humare sath
Jo tere mere ishq se bana koi kohenoor raha tha

Khod rehe the qaber,nashe main besaber hoker
Girenge wahi pe ,ye khayal ANA se door raha tha

MERI BAND GALI KA CHAND

der tak muj per husta reha
meri band gali ka chand

gaya kuch nahin to
raha bhi kuch nahin mera
muje raat ki tanahi deta reha
meri band gali ka chand


kafi der tak khadhe rehe
hum ahhen bherte rehe
bina awaz diye dekhta reha
meri band gali ka chand

jaan ankho.n main rehi aise
deedar ki hasrat rehi jaise
dekhker b ankh.en ferta reha
meri band gali ka chand

mohbbat khanzer ho gai
zawani jhakham se so gai
judai se kyu gabrata reha
meri band gali ka chand

deewane hue mastane hue
dil laga ker qaid main soye
zanjeer main ashq bahta reha
meri band gali ka chand


hawa ke jhonke aate hain
tufan se patte jad jate ahin
patto.n pe nam ana likhta reha
meri band gali ka chand


chand chup bebasi sunta reha
chand chup tanhai deta reha
chand chup ahhen bherta reha
chand chup dekhta reha
chand chup akhne ferta reha
chand chup gabrata reha
chand chup nam ana likhta reha


chand ne ab chuppi apni todi
band gali ki deewar ser se fodi
main b tere paas ane ko hoon bekrar
main bhi kerta hoon tumse bhut payar
anssoo liye bad gali phota reha
meri band gali ka chnad


are koi to bahar nikalo chand ko
dekho band padha hai mera chand
derd e dil k anssoo liye muskurata reha
meri band gali ka chand